Thursday, 5 September 2013

Zindagi Se Dartay Ho (Noon. Meem. Rashid)

Zindagi se darte ho?
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Zindagi se darte ho...!

Aadmi se darte ho?
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai
Os  se tum naheen dare,
Harf aur maani ke rishta-ha e aahang se
Aadmi hai waabasta
Aadmi ke daaman se zindagi hai waabasta
Us se tum nahi darte ..

Ankahi se darte ho?
Jo abhi nahi aayi
Os gharri se darte ho?
Os gharri ki aamad ki
Aagahi se darte ho?

Pehle bhi to guzre hain
Daur na rassai ke
Be-riya khudaai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzumandi
Yeh shab e zubaan bandi
Hai rah e khudaawandi

Tum mager yeh kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
Haath jaag uthte hain
Raah ka nishaan ban kar,
Noor ki zubaan ban kar,
Hath bol uthtay hein
Subh ki azaan ban kar

Roshni se darte ho?
Roshni to tum bhi ho
Roshni to hum bhi hain
Sheher ki faseelon par
Dev ka jo saya thaa
Paak ho gya akhir
Raat ka lebada bhi
Chaak ho gya akhir
Khaak ho gya Akhir

Azhdaham-e-Insaan se fard ki nawa aayi
Zaat ki sada aayi
Raah- e- shauq mein jaise
raah-ro ka khoon lapke
Ek nayaa junoon lapke
Aadmi chhalak uthe,
Aadmi hansay dekho
shaher phir basay dekho

Tum abhi se darte ho...
Haan abhi tu tum bhe ho
haan abhi tu hum bhe hein
Tum abhi se darte ho
Tum abhi se darte ho...!!

(Noon. Meem. Rashid)

No comments:

Post a Comment