Mumkin hai chashm e numm teri tera ghuroor ho
Mumkin hai ke ye aag bhi paani se dour ho
Mumkin hai saraiyyat karay zeher ragon mein
Mumkin hai is zeher ka asar dour, dour ho
Mumkin hai ke mumkin na ho youn mera palatna
Mumkin hai izteraab mein bhi kuch suroor ho
Mumkin hai aa bhi jao tum mere khayal mein
Mumkin hai dour dour raho, dour dour ho,
Mumkin hai nazar bhar ke tumhain daikh lain,
Mumkin hai aik nazar mein kabhi ishq dour ho
Mumkin hai mera wehem ho mera khayal ho
Mumkin hai mere haal mein bhi tera qasoor ho
Mumkin hai tujhe chaah ke bhi chaah na sakoon,
Mumkin hai tere paas bhi aa na sakoon
Mumkin hai ye faraib ho teri adaawat
Mumkin hai tujhe keh ke bhi milay na sakoon
Mumkin hai mujh pe rehem ho ya mujh se sawal ho
Mumkin hai mere sawal pe wo laajawab ho
Mumkin hai chashm e numm ko sitara na kar sako
Mumkin hai tum bhi koi ishara na kar sako
Mumkin hai zeher de kar ataa kar do zindagi
Mumkin hai ye karam bhi dobara na kar sako
Mumkin hai mera hukm bhi tum ko qabool ho
Mumkim hai ilteja bhi gawara na kar sako
Mumkin hai do qadam par badal jao raasta
Mumkin hai umr bhar bhi kinara na kar sako
Mumkin hai mere baghair bhi zindagi
Mumkin hai apne saath bhi guzara na kar sako